People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

Zamane O Zamane
Music: Khan Aziz
Tag: Hindi
Video:
jamane o jamane kyu
satana chahta hai
jamane o jamane kyu
satana chahta hai
jawaani bhar rulana chahta hai
jawaani bhar rulana chahta hai
satana chahta hai
jamaane o jamane kyu
satana chahta hai

tadap hai bebasi hai kya bataye
hamara kaun hai kisko sunaye
tadap hai bebasi hai kya bataye
hamara kaun hai kisko sunaye
kaleja munh ko aana chahta hai
satana chahta hai
jamaane o jamane kyu
satana chahta hai
Meri Pukar Sun Le
Singer: Rajkumari
Music: Govind Ram
Tag: Hindi
Video:
meri pukar sun le o jag ke rakhwale
meri pukar sun le
meri pukar sun le o jag ke rakhwale
ji bhar gaya mera mujhe duniya se utha le
bhagavn mujhe bata de maine hai kya bigada
bhagavn mujhe bata de maine hai kya bigada
pal bhar bhi mera itna na ho saka gavara

acha teri khushi hai
acha teri khushi hai mujhe par bula le
ji bhar gaya mera mujhe duniya se utha le
meri pukar sun le meri pukar sun le

ban ban ke khel sare mere bigad chuke hai
ban ban ke khel sare mere bigad chuke hai
sangit kisi ko apna begane ban chuke hai
sangit kisi ko apna begane ban chuke hai
manjur kahi kal
manjur kahi kal se apni chita bana le
manjur kahi kal se apni chita bana le
ji bhar gaya mera mujhe duniya se utha le
meri pukar sun le meri pukar sun le
meri pukar sun le
Duniya Kisi Ko Haye
Singer: Hamida Banu
Album: Raunaq(1944)
Tag: Hindi
Video:
duniya kisi ko haye, majbur na kare
bachapan me maa baap kabhi dur na kare
nanahi si jaan bekasur, majbur uska haal
wo saans ek charo or laakh laakh jaaye

buri nigah zamane ki aur meri jawani
buri nigah zamane ki aur meri jawani
ab thamo jigar aur suno meri kahani
ab thamo jigar aur suno meri kahani

kirdaar naya, ruh nayi, saaz naye the
sangeet naye, geet naye, pyar naye the
kirdaar naya, ruh nayi, saaz naye the
sangeet naye, geet naye, pyar naye the
naach uthte sun mera jadu tarana
naach uthte sun mera jadu tarana
mutthi me liye baihti thi, main sara zamana
mutthi me liye baihti thi, main sara zamana
din the mere khushiyon bhare
din the mere khushiyon bhare, raat suhaani
ab thamo jigar aur suno meri kahani

kaun aaya zindagi me, jivan badal gaya
kaun aaya zindagi me, jivan badal gaya
betaab na tha chaand
betaab na tha chaand, pal bhar me dhal gaya
koi use bataaye ki, ab main kya karun
koi use bataaye ki, ab main kya karun
bhadkegi aag dil me
bhadkegi aag dil me, kyu kar mana karu
ab kasie thame haye
ab kasie thame haye, ashqo ki rawaani
ye dard bhari ranj bhari meri kahani
ye dard bhari ranj bhari meri kahani
Hum Dil Ko Lutaate Hai
Singer: Hamida Banu
Album: Raunaq(1944)
Tag: Hindi
Video:
hum dil ko lutaate hai
hum dil ko lutaate hai
aur lute, aur lute
aur lute zamana
jiwan hai jawani se bharpur khazana
jiwan hai jawani se bharpur khazana

hontho pe hansi khele
gaalo pe hai laali
hontho pe hansi khele
gaalo pe hai laali
aankh meri jaadu bhari
aankh meri jaadu bhari
julf hai kaali
meri julf hai kaali
do din ka tamasha hai
do din ka tamasha hai
na der lagana, na der lagana
hum dil ko lutaate hai
aur lute zamana
jiwan hai jawani se bharpur khazana

dil me mere dard hai aur dard me armaan
dil me mere dard hai aur dard me armaan
ae mere kharidaar, ae mere kharidaar
na hona tu pashemaan
ae mere kharidaar
na hona tu pashemaan
jab chahe hansa le
jab chahe rula le
jab chahe hansa le
jab chahe rula le
jo dil me tere aaye
vo naach nacha le
jo dil me tere aaye
vo naach nacha le
aa aankh mila jaalim
aa aankh mila jaalim
ab chhod bahana, ab chhod bahana
hum dil ko lutaate hai
aur lute zamana
jiwan hai jawani se bharpur khazana